Ese tabaah hue bethe the jese maut cchu k nikal gai ho,
mayusi itani ki jese kabrr par paav padne se pehle hi billi rasta kaat gai ho, hare
nahi the puri tarah… par jeet bhi nahi paa rahe the… itani mushkil nahi zindagi
hum bhi jaante the, sabke kandhe pe dukho ki bori hai hum bhi jaante the… par
aaj us macchaan pe bethe the jahan mehnat haar jaati hai… Hazaro sapne dekhe
bethe the hum bhi sabki tarah… par ek sapne ki aag dil me jalae bethe the, par
duniya valo ki kya btae_chale aaye uspe bhi gangajal chidakne.
Jante hai hum bhi ki mana lenge is baar bhi khud ko… ek haar
or jud jaegi jama-khatte me… jee hi lenge is baar bhi jese ajtak jeete aaye
hain… lekin ye haar ka darr bhi to badi bhayank chiz hai, jab lagta hai to raat
ka intezaar nahi karta… or fir har baar ye dukh cchupaya bhi to nahi jata; aansu
to chupa lenge… bacchpan se chupate aaye hain… par is dafa haarna nahi chahte…
bharose k saath saath jaan bhi nikal jaegi. Bas isilie bethe hain is tarah…!!