Translate

Sunday, July 14, 2013

Jaante hai hum bhi!

Ese tabaah hue bethe the jese maut cchu k nikal gai ho, mayusi itani ki jese kabrr par paav padne se pehle hi billi rasta kaat gai ho, hare nahi the puri tarah… par jeet bhi nahi paa rahe the… itani mushkil nahi zindagi hum bhi jaante the, sabke kandhe pe dukho ki bori hai hum bhi jaante the… par aaj us macchaan pe bethe the jahan mehnat haar jaati hai… Hazaro sapne dekhe bethe the hum bhi sabki tarah… par ek sapne ki aag dil me jalae bethe the, par duniya valo ki kya btae_chale aaye uspe bhi gangajal chidakne.

Jante hai hum bhi ki mana lenge is baar bhi khud ko… ek haar or jud jaegi jama-khatte me… jee hi lenge is baar bhi jese ajtak jeete aaye hain… lekin ye haar ka darr bhi to badi bhayank chiz hai, jab lagta hai to raat ka intezaar nahi karta… or fir har baar ye dukh cchupaya bhi to nahi jata; aansu to chupa lenge… bacchpan se chupate aaye hain… par is dafa haarna nahi chahte… bharose k saath saath jaan bhi nikal jaegi. Bas isilie bethe hain is tarah…!!

No comments:

Post a Comment