Translate

Sunday, February 2, 2014

Raftaar!

kisi ne ek afva felayi thi ek dafa, ki “jo hota hai acche k lie hota hai”;

Ho bhi sakta hai par shayad me wakif nahi, agar me kahu to “jo hota hai kisi maksad se hota hai”.

Dhue k nashe me jab gadhi ki awaaz k dohrav k saath sanse chalti hai, tab ek darr sa lagta hai ki me is ehsaas me fass na jau...

Ussi fande ka darr zindagi k har vakye me lagta hai, kahi me haar na jau, akele na reh jau, zindagi me kuch hasil kar pau, kahin mujhe mohabbat na hojae, agar hojae to kaash mil jae, agar mil jae to saath reh jae… sath reh bhi jae to me khush reh pau…

Kisi bhi baat ka kabhi koi ant nahi hota, zindagi ke mukaam hote hi anant hai; ya fir shayad hume esi hi zindagi chahiye hoti hai.

Har insan zindagi me khushiyo ka picha karta hai, par mujhe lagta hai hum khushiyo k piche nahi gol bhag rahe hain. khushiya mil bhi jaati hai to rukte kahan hai, sukoon se beth k saans bhi nahi lete,

Fir bhaagne lagte hai kisi raah me koi khushi dhundne, asal me to bas bhaagna accha lagta hai, shayad insan hota hi thoda bawra hai… sochta hai ki nahi hai, par bohot zyada hai. Vo pagalpan hi hai jo hume khushi or himmat deta hai bhaagte rehne ki.

Hum sochte hain kab khatam hoga ye toofan, kab mai chen ki saans lunga, par uske lie ant ka intezaar kyn karna hai? abhi hi lelo gehri saans, kynki aage bas bhaagna hai. Jo karna hai sath sath karo, intezaar mat karo sai waqt ka; kynki waqt ne bhi kabhi waqt ki suni hai?

Uske saath hi daudh’ chalo, kabhi kuch nahi savrega or na hi kabhi kuch itana tabaah ki ruk pao. Bas maksad dhundo ki kyn hua or pakad lo raftaar. Asaan nahi par or koi charra b nahi hai kynki ek baar soch k dekho ki jitana b kuch hua hai aajtak kabhi ruke ho?

Islie,

bhaago bas!


No comments:

Post a Comment