Har gam bada nahi hota.. har khushi cchoti nahi hoti…
Jab bhi, jahan bhi, jesi bhi beeti hai zindagi.. jee hai
mene..!
Har us awaaz ko jo mere lie uthi hai
Har us alfaaz ko jo mere lie kaha gaya hai,
Har us kagaz ki naav ko
Har us ped ki cchav ko,
Jiya hai mene…
Badalte mausam ki aas ko
Bin badal barsaat ko,
Har patte ki aakhiri saans ko
Koyal ki us pyaas ko,
Jiya hai mene…
Aapno ki fizool daant ko
Inkaar me chuppi us haan ko,
Yaadon k karaar ko
Pyaar k izhaar ko
Jiya hai mene…
Un jhoote kasme vaadon ko
Sare rishte naton ko,
Har baat pe jhagadte yaaron ko
Dil cchune vali un baton ko,
Jiya hai mene…
Har sham k dhal janne ko
Aadhe sapno me jag janne ko,
Bewajah sabse ladne ko
Aansu baha kar chupane ko,
Har lamha jiya hai mene…
Diwali ki us roshni ko
Rishto me lipti chashni ko,
Har mausam ki us khusbhu ko
Har panchi ki us guftgu ko,
Jiya hai mene…
Har deri k intezaar
ko
Har vade k inkaar ko,
Lambi si un kahanio ko
Kitaab ki un nishanio ko,
Jiya hai mene…
Yaadon k sang tasveero ko
Dil se juddi lakeero ko,
Mitti me gande hojane ko
Yaaro k kaandhe pe sojane ko,
Jiya hai mene…
Bohot kuch khoya hai
Har is chiz ko pane mai,
Jeena aasaan hojata hai
Agar jeeta ho koi zindagi bitane mai…!
No comments:
Post a Comment