Translate

Monday, May 26, 2014

Maktub!

Vo kehne lagi ki dekho mujhe, dekho meri ankhon me,
Agar jiye ho dil se to jaan paoge ki kya chuppa hai…

Ek jaanwar sa pala hai phuloon k beech bachpan se,
Hevaan b nahi or bhagvaan bhi nahi hu me, dekho meri ankho me,

Janna chahoge to jaan paoge ki mai kya chahti hu
Lakho baar mar k jeena sikha hai, dekho meri ankhon me,

Zyada khush hojae to dukh or gehra hojata hai
Har jangal sukhe se ghabrata hai, dekho meri ankho me,

Mere seene ki aag me tel daalti hai ye duniya, kisi din inhe jala na du
Khush bhi hu me par inse khafa bhi hu, dekho meri ankhon me

Taleem jo bacchpan ki samet rakhi hai mene, to ruki hu me
Maksad se varna inhe kisi kone me dafna na du, dekho tum

Jahil si is duniya me mujhe orat kyn banaya?
Vo tooti hasi me bole “Maktub”




*Maktub- It is written



No comments:

Post a Comment