Translate

Friday, September 13, 2013

Waqt Aane to do!

Fir mene kaha ki aane do... Daro mat! Aane do bas
Par khauf ne kisnki suni hai… lagta hi rehta hai… jesa pahaad ki chotti se niche jhakne me lag raha hai
Hum bhi jaante hain girenge nahi, par ladkhada sakte hain… upar se khade bhi to akele hain…
Barish bhi horahi hai, bach to tofaano se bhi gae the… teyaar hain aaj bhi…
Par hariyaali chodh k naye pathrile raste kisse pasand hain…
Par ab ruk bhi nahi sakte, waqt badal raha hai… nayi zindagi aane vali hai..
Kese bol de use ki mat aa… bulana to padegi hi… zindagi jo meri apni hai,
Akele jeena hota to shayad naa bulate, ye duniya bhi to mann k andar jhank rahi hain…
Jese puch rahi ho ki kya chahte ho? Badna hai ya nahi? Jeena chahte ho?
Par kya jawaab du jab khud se wakkif nahi hu…!
Paav jaama nahi paye hain abhi, nayi zameen pe fislan hai thodi…
Par sambhal jaenge shayad, mann ko bhi kya samjhae… ab thaka hua sa hai
Ab samjhana bhi chod dia hai, par uski thakavat kam nahi hoti… shayad bhatka rehta hai
Sambhlna bhool gaya hai… salo beet gae par lagta hai gehri neend nahi soya,
Mene to koshish ki use samjhane ki… par kehta hai ab or kuch liya nahi jata..

Par fir mene kaha aane do… daro mat… jo arha hai, aane do bas!!!!

2 comments: